Voice of 'a' millennial

Bat 1 din purani hai, Aaj social media par scroll karte huye ek post dekha, hmari Finance Minster ne kaha ki "मिलेनियल्स का माइंडसेट ऐसा है कि वो गाड़ी खरीदकर उसकी ईएमआई देने के बजाए ओला,उबर या मेट्रो लेना पसंद करते हैं"
Kyuki ye news tv par nahi dikhayi jayegi. Isliye social media par dekha or wahi tak reh gayi, sabse phle to ek naya word sikhne ko millennial, aur dusre pal pata chala wo millennial to mai hi hu!!
Par ab is millennial ki halat to metro aur ola uber me travel karne ki bhi hai nahi madam finance minister "Nirmala Sitharaman Ji" kyu ki as per your advice we millennials are selling pakoda's now!!

Arrey!!
Zee ke office ke bahar!!

Phle sarkaar faisla kar le ki hume pakode bechne hai ya EMI bharni hai.

Kuch time phle tak mai neutral thi, na goverment ke against or na goverment  ke support me.
Kyu Ki mere papa bjp supporter hai, or muje dar lagta hai, kisi or se nahi, apne relatives,friends aur apne well wishers se!!

Kyu ki tv chanels par desh ki problems dikhayi hi nahi jaa rahi hai, So according to renowned media House's Desh me sab thik chal ra hai.

Bas!!agar kahi problem hai, to wo pakistan ke sath hai.

Or agar hume atm's ki line me lgna par ra hai?
apna mobile adhar se link karwana par ra hai?
ya fir lpg gas ka koi hisab nahi mil ra hai?
To ye sab hum desh ke liye kar rahe hai,or in sab ka result kya hua?
Wo to hum puch hi nahi sakte hai...

Kyu-ki agar aap goverment se swaal puch rahe hai to aap anti-national hai.

Ab baat har jgh se ghumte ghumte "moter vehicle act"par aayi,
To hamare yanha log badi mushkil se ek second hand car ya 2 wheeler le lete hai,
Ab "moter vehicle act" unhi logo ko apne vehicle ko wahi chodh Jane, ya fir un penalties ko bharne ke liye loan lena ki naubat par le aaya hai...

Par janab loan mil kaha raha hai?

Banks to khud pareshan hai, employees ki jubaani sun lijiye.
Aap kahenge bank emplyoee to chor hai kaam nahi krna chahte,.

Ye wahi log hai jinhone demonitisation ke time rat ko 12 baje tak kam kia hai or subah 8 baje branch pahuche hai.

Ab aap kahenge salary bhi to moti uthate hai, to unhone mehnat ki hai sir.
Rat Din padhaii ki hai or uske bad itne bade competion ko pass kia hai.
Kyu-ki job ki jarurt to sabko hai par hmare pas jobs utni hai nahi

To "motor vehicle act" ke according logo ko rules follow krne chahiye!! Ji, bilkul karne chahiye!!
Par logo ko rules follow karne layak to bnayiye jnaab!! employment aur education de kar.

To jab humare pas facility developed Country jaisi nahi hai, to yaha ki janta rules developed Country wale kaise follow karegi?

Waise ye akeli problem nahi hai, pure desh me aise hi bahut si samsyaein hai, par awaj kahi se uthegi nahi.
Kyu-ki, in choti moti problems jaise unemployment, poverty, GDP, uneducation, global warming etc.. inko kon puchta hai??
In sab se badi problem to pakistan hai,Desh ka dhyan waha le jane ki jarurat hai....

Humare system ki jo sabse majboot kadi hai, wo kamjor ho gayi hai, ya kahe to chatukarita ka sabse bada namuna ban gayi hai!! Dhyan dijiye ye word kahi to suna hoga aapne!!

To hmari Media ke pas sirf pakistan hi ek topic hai jo jaruri hai.
Agar pakistan se hmara conflict solve ho gya,to inka kya hoga, ye thora sochne wali baat hai..

P.S (After so many Edit's)

Comments

Popular posts from this blog

Band kamre ka pyar♥️

Adhure labz or Purani Baat🖤

Mushkil Hai Is Pyar Ko Samjhna♥️