Adhure sapne✍️
Ab har din tutati
Or har din fir se banti hu,
Apne kuch feeke pade sapno ko
Fir se yun hi tatolti hu!!
Jaha se shuru kia tha,
Ab b wahi khadi hu,
Par har ek galti se sikhne ko mila
Yahi soch k aage badhi hu!!
Is duniya me sabki ek raah hai,
Par jo meri raah hai
Us raah ko ab bhi dhund rahi hu!!
Har din naya hai,
Par waqt ab bhi thra sa hai
Kuch to hoga
Bas is dhun me yun hi chal rahi hu!!
Kisi k sapne ko bnane nahi,
Khud ke sapno ko pura karne chali hu!!
Ab un sapno ko bas band ankho se hi nahi, khuli aankho ss bhi dekhne lagi hu!!
Zindagi ki daud me khud ko zra dheema sa mehsus kar rhi hu
Par is daud me sabse aage niklne ki tyari bhi kar rhi hu!!
Ab khane ki bhukh se jada, sapno ki bhukh hai, mana ladki hu,Par hunar Barbara ka rkhti hu!!
Isliye apne kuch feeke pade sapno ko yu hi tatolati hu!!
Words of Neha✍️
Comments
Post a Comment